khamosh rahu ya tanha rahu,
is 'Lamhe' ko kaise apna kahu!
muje paraya kehta wo,
aur apno se dur karta wo;
bina saval kiye isko sahu,
is 'Lamhe' ko kaise apna kahu!
Har taraf udas mausam,
sawan rut aur aankho ka sangam;
dil ko kaise main juth kahu?
tanha dhadkan ko kaise sath du!
khamoshi se shor machau,
is 'Lamhe' me khud se kho jau!
ek vishwas ka intezar karu,
intezar ko kaise khatm karu!
rok kar khud ko rok na pau,
haar kar ab kaise nazar milau!
javab ki ummid nahi --
fir bhi saval karu,
aakhir is 'Lamhe' ko kaise apna kahu!
~KrupA
3 comments:
Awesome poem!! Very deep...
lamho ki dastaan,
kuch ajeeb si hoti hai...
jab saath rahguzar mil jaye,
to sadiyan pal bhar mein,
beet jaati hai...
par jab tum,
akele hi chaal padte ho,
har lamha tumhe,
kuch aur tanha chod jata hai...
Ended up to your blog from a friend's friend's connexion.
Nice thought articulation :)
Cheers,
-=Ashish=-
Beautiful krupa... u improving by the day... :)
Post a Comment